Doston ajj hum apko batayenge Adrak ke Fayde adrak istemaal karne se nzlah zukam mein kafi aaram milta ha aye bataty hai ye totka
Adrak ke Fayde
Adrak ko rawaiti chini tarika ilaj mein thand kay sath bukhar, sar dard aur pathon kay dard mein kasrat se istemaal kia jata hai aur ibtedayi dor kay urapi jari butyon kay mahir bhi ise nazlah zukam ka shafi ilaj tsleem karte the. Adrak mein yeh khoobi hai keh yeh jism kay mudafati nizam ko taqtwar banati hai. Iski garam dafa shozish aur tawanayi bahal karne wali khsoosyat ise nzlah zukam ki qimti dawa ka darjah deti hain. Is ka tikha zaiqa dorane khoon ko tez karta hai jism se fasid madon ko kharij karta hai band naak kholta hai aur phepre(lungs) mein jama shuda blgham ko nikalta hai. Adrak aur lemon ko mila kar aik khush zaiqa sharbat bhi taiyar kia ja skta hai is mqsad kay liye adrak kay 115 gm wzni tukre ko dho kar achi tarah kutar lein aur ise 600 ml pani se bhare bartan mein daal dein yeh bartan aluminum ka na ho. Is kay baad aik lemon ko kaddu kash karein aur chilke samet guda bartan mein shamil kar dein albatta lemon kay beej nikal lein. Is mein aik chutki bhar surkh pisi mirch milayein aur pani ko dhimi aanch par 20 minute tk kholne dein. Is doran baqi bache huye lemon ko aik cup mein nachorein jb adarak ka ameza pk kar tiyar ho jaye to ise chulhe se utar lein aur thori der thanda hone dein. Is ke baad ise aik cup mein nikalein. Is mein lemon ka ras shamil karein aur zaiqe kay liye shehad bhi mila dein. Is neem garam khush zaiqa aameze ko din mein kayi bar bilkhasoos raat ko sone se pehle istemaal karne se nzlah zukam mein kafi aaram milta hai.