Doston ajj hum apko batayenge Tamatar ka Chilka Utarne ka Tarika jis se tamatar ka chilka asani se utar jayega
Tamatar ka Chilka Kaise Utare Tarika
Baaz logon ko tamatar ke chilke se chir hoti hai. Agar in ke monh mein khana khate huye tamatar ka chilka aajaye to vo khana hi chor dete hain. Waise bhi chilka hazam nahi hota, is liye tamataron ko salan mein dalne se qabal chilka utar lia jaye to acha hai. Chilka utarne ke liye tehni wali taraf tamatar par add (+) ka kut laga kar chand second boil pani mein dalein aur phir nikal kar dekhain. Chilka kitni aasani se utar aaye ga.