Dosto aam mafruza yeh hai k khane peene me be ahtiyati haazme ki kharabi pait mein gas ka mojib banti hai. halanke haqiqat yeh hai k har insan k jism me gas banti hai ek ausat sehat ka maalik insan din bhar me 14 baar gas ki harkat ko mehsoos krta hai. gas se murad pait me gizaye tor pe tor phor ki kaifiyat hoti ha.
Dosto darasal izafi pait mein gas paida hone ki surat me jism ki janib se yeh signal hota hai k jism mazkura giza hazam krne ki salahiyat nahi rakhta hai isliye aisi giza ko khorak se nikal dena hi behtar hota hai kyunki 75% afraad me umer barhne k sath sath lactose ko hazam krne ki salahiyat bhi kam hone lagti hai.
Dosto insani jism k liye kuch bacteria ache hote hain aur kuch nuqsan de hote hain koshish kren k aap k jism me giza ki surat me jane wale bacteria ache ho maslan mooli, dahi aur sabz piyaz me ache wale bacteria kafi miqdaar me paaye jate hain is k elawa giza ko bagair chabaye khana ya chewing chabana, had se ziada juices peena, cigerate noshi krne se bhi pait me gas paida hoti hai to dosto ab chalte hain pait ki gas k desi nuskhe ki janib.
Nuskhe k Ajza
1- Ajwain (ham wazan)
2- Paneer Dodi (ham wazan)
3- Safaid Podina (ham wazan)
4- Kala Namaz (Hasb e Zarurat)
You May Also Like
How to Reduce Hair Loss in Men
Tarqeeb:
Pehli 3 cheezon ko ache se saaf kar k mila len phr hasb e zarurat kala namak daal kr mila kr istemal kren. Dosto yeh desi Phakki bht lajawab hai jo hazaro baar azmaaye ja chuki hai. 1/2 tsp subah shaam khane k baad istemal krne se gas k sath sath qabz ka bhi khatma hojaega. Blood Pressure k mareez kaala namak k bagair yeh phakki istemal kr skte hain
For More Updates Like and Follow our Facebook Page
https://www.facebook.com/thecookbook.mag