Doston ajj apko batayenge salad ya sabz dhania rakhne ke liye totka jis se salad ya sabz dhania 3 se 4 din taza rahe ga
Salad Ya Sabz Dhania Rakhne ke Liye Totka
Dono hi buhat mufeed sabziyan hain magar nazuk bhi buhat hain. Har roz bazaar se in ko mangwana mushkil ho to yun karein keh glass ya jug mein thanda pani bharein aur salad ya sabz dhanya ki dandiyan pani mein dubo dein. Teen char roz tak bilkul tazah rahe ga. Rozanah zarurat ke mutabiq salad ke pate pani se nikalein aur istemaal karein.Fridge mein dhanya ya salad rakhne ho to ise plastick ke lifafe mein kabhi na rakhain balkeh kaghaz ke lifafe mein dalkar rakhain ya akhbar mein lapeit kar rakhain. Sabziyon ko akhbar mein lapeit kar rakhain to woh ziadah der taza rahein gi. Fridge se bahir bhi rakhain to pani chirak kar akhbar mein lapeit kar rakhain.