Doston ajj hum apko batayenge Pyaz Onion Ka Totka pyaz katne se aankhon say pani behta hai to aye apko batatay hai ye totka
Pyaz Onion Ka Totka
Onion cheeltay aur kattay huye aankhon say jo pani behta hai is ki wajah say khana pakanay kay liye buhat si khawateen ko piyaz katna buhat nagawar lagta hai. Is say bachao ko aazmudah totkah yeh hai aap nay jetnay piyaz roz istemaal karnay hon. In ko raat ko plastic kay lifafay mein daal kar achi tarah lifafah band kar kay fridge mein rakh dein, subha jab aap khana pakanay kay liye piyaz katain gi to aankhon say har giz pani nahi niklay ga. Agar raat ko piyaz rakhna bhool jayein to khana pkanay say ghantah aadh ghantah qabal piyaz ko fridge mein bhi rakh sakti hain.Onion ko katnay kay liye nichay ki janib say kaatain to bhi aanso nahi aatay yani onion ko ulta kar kay ka salan mein dalnay kay liye onion ko aam tor par hum do hisso mein kaat kar phir is ko bareek kattay hain aur phir brown kartey hain.Agar salim onion ko lachon ki shakal mein kaat kar brown kia jaye to salan pakatay huye is tarah kata hua piyaz jaldi galta hai aur isay peesnay ki zarurat bhi nahi hoti khood bakhood gal kar ghul jata hai.