Doston ajj hum apko batayenge Lehsan Se Nazla Zukam Ka Ilaj jis ke istemal se apko bohat fayda hoga aye apko bataty hai totka
Lehsan Se Nazla Zukam Ka Ilaj
Lehsan mein tqtwar jaraseem kash aur virus ko khatam karne wali khoobyan payi jati hain. Nzlah zukam aur khansi ka yeh behtareen qudrati ilaj samjha jata hai aur shehad kay sath is ka istemaal buhat mufeed rehta hai. nzlah, zukam se bachao ya ilaj kay liye chilka samet aik lehsun kay tamam jowon ko hawan dste mein ya sil batte par kuchal lein. Is kay baad ise aik bartan mein daal kar 1 ½ cup pani dalein aur bartan ko dhak kar tqreeban 20 minute tk hlki aanch par garam karein. Is kay baad lemon aadha kaat kar is mein nichorein aur 2 tsp ki mqdar shehad mila dein. 2, 3 minute tk mazeed garam karein. phir aameze ko thanda hone kay baad nithar kar aik saaf gehre rung kay shishe kay jar ya botal mein mehfooz kar lein jis par mzboot dhakakn laga ho. Yeh sharbat 2,3 hafte tk refrigerator mein istemal kay qabil rehta hai. rozana aik bare chamche ki mqdar yeh sharbat din mein teen bar istemaal karein.