Doston ajj hum apko batayenge Kabab Mehfooz Karne Ka Tarika jis se kabab bhi nhi chipaky gye aye apko bataty hai ye totka
Kabab Mehfooz Karne Ka Tarika
Mukhtalif qisam ke kabab jin mein shami kabab to sar fehrist hain aur taqreeban har ghar mein taiyar rehte hain. Is ke elawah chapli kababa keema ke kabab, aalo ke katlus waghirah bhi taiyar kar ke rakhe ja sakte hain. Chahein to in ko halka sa fry kar ke rakh lein. Bas nikal kar dobarah thora fry karna hoga. Warnah kache bhi rakhe ja sakte hain lekin kache kabab rakhne ka bhi aik khas tarikah hai. jagah bhi kam istemaal ho aur kababa aapas mien chipak bhi na sakein . Is ke liye kabab tray ya khule bartan mein rakhne chahein. Pehle aik the kababon ki rakh dein is par plastic ki thili bicha kar doosri the rakh dein. Is tarah aap teen char the aik hi bartan mein rakh sakti hain jab woh thande ho kar sakht ho jayein to in ko aik bare dabbah mein rakh dein ya phir plastic ki zara moti theili mein rakh dein. Jab bhi zaroorat pare nikal kar thore se waqt mein taiyar kar sakti hain.