Dosto Gale ki kharash bhi bohat aam bimari hai jo k aksar gharo mai payee jati hai. Aye hum aapko Gale ki Kharash ka ilaj batatay hain
Gale ki Kharash ka Ilaj
Ek liter pani mein 135 gram berry ki chaal aur 35 gram aanar ki chhaal ubal lain aur chhaan kar rakh len. Din mein 2 se 3 baar is pani se kalie karen, gilaay ki kharaash khatam ho jaye gi. Purani jo len aur usay taway par bhuvan kar din mein 3 martaba khayen, gilaay ki kharaash aur baithi hui aawaz theek ho jaye gi. Agar gale mein kharash aur dard hoto babool ki chaal le kar pani mein ubal lain aur is se ghararay karen.