http://Biryani recipe note 3 cup basmati rice Half kg Bonnless chicken cubes main thoray baray Dahi Half cup Tamator 2 chotay cut kerke Tikka masala two tbsp Bombay biryani masala three tbsp mehran Biryani masala three tbsp mehran Lehsan adrak paste two tsp Piyaz 4 patla katna hai OIL half cup dekchi main daalker Phir piyaz ko light brown kerna hai phir tamator daalker bhoonliya phir lehsan adrak paste or chicken daalker thora or bhonain phir masalay daalker bhonlain phir dahi add kerain and pakne dain. Acha ap chahain to Tamato piyaz ko paste banalain iska bhi acha taste ata hai khara masala nahin ata moun main. Acha phir four aloo ko baray piece kerke daaldain or dum kerdain light flame pe. Doosri Taraf 20 glass paani leker dekchi main daalain or flame on kerain phir usmain kari patta podina or kaala zeera or namak three tsp daalker or badian ke do phool daalker ubalne dain acha chawal apne adha ghanta pehlay bhigodain chawal acha banta hai or khara rehta hai. Jab paani ubal jaye to chawal daalker aik kanni pakana hai or chaan lena hai. Phir doosri Taraf masala ready hogaya ab flame bund kerdain. Subse pehlay cholhay pe tawwa rakhain woh garam hojaye phir dekchi rakhain usmain ap salan ka oil thora daalain phir chawal ki teh or salan ki teh istarha do teh hogi or hari Mirch or Dhania se garnish kerain or akhir main food colour add kerain phir dum per kerdain or flame light kerdain fifteen min ke liye. Apki mazedar Karachi biryani ready.
बनारसी टमाटर चाट | Banarasi Tamatar Chaat | Sanjeev Kapoor Khazana
A vibrant and lip-smacking chaat that is very popular in